Hadees: Do Aadatein Aisee Hain Ki Agar Koi Musalman Isko Ikhtiyar Kar Le To Wo Jannat Mein Jayega Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar ki Fazilat ✦ Mafhum-e-Hadees: Abdullah bin Amr (RaziAllahu anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‘ Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko ikhtiyar kar le to wo Jannat mein jayega. Wo Dono aasan hain magar us par Amal karne wale bahut kum hain , 1). Pahli ye ki Har Namaz ke baad 10 baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe , rawi kahte hain ki maine RasoolAllah (ﷺ) ko dekha ki aap ungliyon par gina karte they. Phir farmaya ki wo Zuban par 150 (Yaani 5 waqt ki Namaz ke baad 5×30=150) aur meezan par 1500 hain. 2). Dusri aadat ye bayan farmayee ki ‘Jab tum sone ke liye jao to (33 baar) SubhanAllah , (33 baar) Alhamdulillah aur (34 baar) Allahu Akbar kaho ye Zuban par tou 100 hain magar meezan par 1000 hai...