Posts

Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai?

Image
Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai? Hadees: Hazrat Abu Ayyub Ansari (R.A) farmate hain: "Nabi ﷺ Ke Zamane Mein Aadmi Apni Taraf se aur Apne Ghar Walon ki Taraf se Ek Bakri ki Qurbani karta tha." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees : 3147 Sahih https://ummat-e-nabi.com/poore-gharwalo-ki-taraf-se-ek-hi-qurbani-karna-kaisa-hai/?feed_id=974&_unique_id=666d690136841

Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat | Janiye: Arfa ka Roza kab hai?

Image
Arfa - 9 Zil Hijja ka Roza 2024 (India) Arfa ka Roza India mein 15 June 2024 ko hoga. India me 9 Zil-Ḥijjah ka Roza 28 June 2024 ko hoga. >>>>>>>> Mafhum-e-Hadees Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat Hadees: Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: " Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai. " 📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith no. 367 WAJAHAT: Zulhijjah ki 9th tarikh ko Youm-e-Arfa Yaani Arfa ka din kaha jata hai aur is Din ka Roza In sha Allah-Ul-Azeez! Humare liye 2 saal ke Gunaho ka Kaffara banega. Isme ulemao ka ikhtelaf hai ke aayinda(agle) 2 saal ya agle aur pichle milakar 2 saal. Beharhaal! hume chahiye ke is roze ka ahtmam karke is se fayda hasil kare. Note : ye Roza jo Haaji is Saal Hajj ko Gaye hai unke liye nahi hai. और भी दे...

Astaghfar ki Dua, Astaghfar ka Taruf, Ahmiyat, Fazilat | Astaghfar in Hindi

Image
Astaghfar ka Taruf Astaghfar kise kehte hai ? Insan ki fitrat hai ke us se khata, galati ya gunah ho jate hai, aur jab wo apne kiye par sharminda ho kar sacche dil se apne Rab se muafi talab karta hai tou usey ' Astaghfar ' kehte hai. Astaghfar ki Ahmiyat: ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Main Allah ki bargah me Astaghfar (Muafi Manga) karta hoon aur uski taraf ruju karta hoon din me 70 baar se bhi jyada." 📕 Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith 319 Hum sab jante hai ke Ambiya (Alaihi Salato Salam) Gunaho se paak hote hai, aur Allah ke Nabi (Salallahu Alaihi Wasallam) tou bakhshe bakhshaye hai, lekin fir Aap  (ﷺ) apni Ummat ko tarbiyat dene ke liye khud Astagfar ki qasrat kiya karte they. lihaja hum par tou lazim hai ke hume jyada se jyada Astaghfar karna hai. Astaghfar ki Fazilat: ۞ Hadees: Anas (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Astghfar karne ko apne upar lazim karega tou Allah Subhanahu...

Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou ...

Image
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08 https://ummat-e-nabi.com/al-quran-jis-shakhs-ne-dunia-me-jarra-barabar-bhi-koi-burayi-ki-hogi-tou/?feed_id=855&_unique_id=6668093d6563e

Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti ...

Image
Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti Ismey koi Shaq Nahi ke Allah aur Uskey Rasool ka Paigaam Haq hai, Allah Ta'ala Quraan-e-Kareem ki Muabarak Aayat me farmata hai ke - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Bhalayi aur Burayi Ek Jaise nahi ho Sakti tou tum Burayi ko Apne Bhale Sulook se Door kar Do, Phir kya Dekhoge ki Jis Shakhs aur Tumhare Beech Dushmani thi Unme aisa ho Jaayega jaise koi Pakke Dost hote hai." 📕 Quran 41:34 Iss Mudde per Quraan-e-Karim ki Rahnumaai Dil ko Badaa Sukoon deti hai, Rabb-e-Taala ne Burayi ko Khatm karne ki Iss Ayat me kya Khoob Taaleem di hai ki, Koi jab Humse buraa Sulook kare tou Hume uska badla bhale Sulook ki Shakl me dena chahiye Iss tarha se Ek Din wo bhi Humare Dost ho Jaaynge Jo aaj Humse Dushmani rakhte hain. Insha Allah !! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne se jyada Amal ki Toufiq de. Ameen, Summa Ameen https://ummat-e-nabi.com/bhalayi-aur-burayi-ek-jaise-nahi-ho-sakti/?feed_id=789&_unique_id...

दीमक में अल्लाह की कुदरत

Image
दीमक में अल्लाह की कुदरत अल्लाह तआला ने बेशुमार मख्लूक़ पैदा फ़रमाई है। उन में एक अजीब नाबीना मख्लूख “दीमक” भी है। वह नाबीना होने के बावजूद सर्दी और बारिश से बचने के लिये शानदार और मजबूत टावर नुमा घर बनाती है। जिस की ऊँचाई उन की जसामत से हजारों गुना ज्यादा होती है। उन घरों के बनाने में वह मिट्टी और अपने लुआब व फ़ज्ला का इस्तेमाल करती हैं। उन के घरों में बेशुमार खाने होते हैं। जिन में भूल भूलय्याँ , छोटी छोटी नहरों के रास्ते और हवा के गुजरने का इन्तज़ाम होता है। आखिर बीनाई से महरूम दीमक को टावर नुमा और शानदार घर बनाने की सलाहियत किसने अता फ़रमाई ? यक़ीनन यह अल्लाह ही की कारीगरी और उसी की कुदरत का करिश्मा है। Read More: https://ummat-e-nabi.com/hi/dimaq-me-allah-ki-qudrat/

Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur Roza Sehwat ko kum karta hai

Image
Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya - " Aye Jawaano Jo Tum me se Aurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare , Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat karata hai Aur jo iski taaqat na rakhe tou woh Roza rakhe kyunki ye Sehwat (Wasna/Sex) ko kum karta hai. " 📕 Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 52 , 📕 Tirmizi Sharif, Jild 1, Safa 533 https://ummat-e-nabi.com/nikaah-nigah-ko-zukata-hai/?feed_id=687&_unique_id=66601a99a6ca8