Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat | Janiye: Arfa ka Roza kab hai?

Arfa - 9 Zil Hijja ka Roza 2024 (India)

Arfa ka Roza India mein 15 June 2024 ko hoga.

<<<<<<<<< ۞ >>>>>>>>>

Mafhum-e-Hadees

Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat

Hadees: Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: "Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai."

📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith no. 367


WAJAHAT:

Zulhijjah ki 9th tarikh ko Youm-e-Arfa Yaani Arfa ka din kaha jata hai aur is Din ka Roza In sha Allah-Ul-Azeez! Humare liye 2 saal ke Gunaho ka Kaffara banega. Isme ulemao ka ikhtelaf hai ke aayinda(agle) 2 saal ya agle aur pichle milakar 2 saal. Beharhaal! hume chahiye ke is roze ka ahtmam karke is se fayda hasil kare.

Note: ye Roza jo Haaji is Saal Hajj ko Gaye hai unke liye nahi hai.

और भी देखे:

9 DHUL HIJJA YANI (ARFA KE DIN) KA ROZA RAKHNE KA KYA SAWAB HAI?

Zull Zil hijah ka roza, Hajj ke arfe ka roza

https://ummat-e-nabi.com/youm-e-arfa-ke-roze-ki-fazilat/?feed_id=924&_unique_id=666ba11dc4fcc

Comments

Popular posts from this blog