Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein

Kuch Aisi Rasam’en bhi Musalman me Raaij hai ke Bewah Aurat ka Nikah ko Bura aur aar Samjhte hai, Balke Isko Aib Samajhne me Kufr ka khauf hai, Kyunke Shariyat ke kisi Hukm ko Aib Samajhna aur Iske karne waale ko Zaleel Jan'na Kufr hai.

Allah Ta'ala ne Quraan me Irshaad farmaya hai :

"Aur Nikah kardo Apno me Inn ka Jo Benikah ho aur Apne Layaq Ghulamao aur Kaneezao ka."

📕 Surah Al-Noor 24:32


Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (ï·º) ne Irshad farmaya ke -

"Yaani Meri Ummat me Fasaad Phail Jane ke Waqt jo Shakhs Musibat ke Waqt meri Sunnat par Amal kare Isko 100 Shaheedo ka Sawaab milega."

📕 Mishkaat Jild 1, Safa 30 Asah’al’matabeh, Jannati Zewar 304, 305

Allah Taala hume kehne sunne se jyada Amal ki taufiq de. Ameen Ya Rabbul Aalmeen.

https://ummat-e-nabi.com/bewah-aurato-ka-nikah/?feed_id=563&_unique_id=665ff6858aff9

Comments

Popular posts from this blog