Posts

Showing posts from June, 2024

Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai?

Image
Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai? Hadees: Hazrat Abu Ayyub Ansari (R.A) farmate hain: "Nabi ﷺ Ke Zamane Mein Aadmi Apni Taraf se aur Apne Ghar Walon ki Taraf se Ek Bakri ki Qurbani karta tha." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees : 3147 Sahih https://ummat-e-nabi.com/poore-gharwalo-ki-taraf-se-ek-hi-qurbani-karna-kaisa-hai/?feed_id=974&_unique_id=666d690136841

Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat | Janiye: Arfa ka Roza kab hai?

Image
Arfa - 9 Zil Hijja ka Roza 2024 (India) Arfa ka Roza India mein 15 June 2024 ko hoga. India me 9 Zil-Ḥijjah ka Roza 28 June 2024 ko hoga. <<<<<<<<< ۞ >>>>>>>>> Mafhum-e-Hadees Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat Hadees: Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: " Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai. " 📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith no. 367 WAJAHAT: Zulhijjah ki 9th tarikh ko Youm-e-Arfa Yaani Arfa ka din kaha jata hai aur is Din ka Roza In sha Allah-Ul-Azeez! Humare liye 2 saal ke Gunaho ka Kaffara banega. Isme ulemao ka ikhtelaf hai ke aayinda(agle) 2 saal ya agle aur pichle milakar 2 saal. Beharhaal! hume chahiye ke is roze ka ahtmam karke is se fayda hasil kare. Note : ye Roza jo Haaji is Saal Hajj k

Astaghfar ki Dua, Astaghfar ka Taruf, Ahmiyat, Fazilat | Astaghfar in Hindi

Image
Astaghfar ka Taruf Astaghfar kise kehte hai ? Insan ki fitrat hai ke us se khata, galati ya gunah ho jate hai, aur jab wo apne kiye par sharminda ho kar sacche dil se apne Rab se muafi talab karta hai tou usey ' Astaghfar ' kehte hai. Astaghfar ki Ahmiyat: ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Main Allah ki bargah me Astaghfar (Muafi Manga) karta hoon aur uski taraf ruju karta hoon din me 70 baar se bhi jyada." 📕 Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith 319 Hum sab jante hai ke Ambiya (Alaihi Salato Salam) Gunaho se paak hote hai, aur Allah ke Nabi (Salallahu Alaihi Wasallam) tou bakhshe bakhshaye hai, lekin fir Aap  (ﷺ) apni Ummat ko tarbiyat dene ke liye khud Astagfar ki qasrat kiya karte they. lihaja hum par tou lazim hai ke hume jyada se jyada Astaghfar karna hai. Astaghfar ki Fazilat: ۞ Hadees: Anas (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Astghfar karne ko apne upar lazim karega tou Allah Subhanahu

Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou ...

Image
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08 https://ummat-e-nabi.com/al-quran-jis-shakhs-ne-dunia-me-jarra-barabar-bhi-koi-burayi-ki-hogi-tou/?feed_id=855&_unique_id=6668093d6563e

Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti ...

Image
Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti Ismey koi Shaq Nahi ke Allah aur Uskey Rasool ka Paigaam Haq hai, Allah Ta'ala Quraan-e-Kareem ki Muabarak Aayat me farmata hai ke - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Bhalayi aur Burayi Ek Jaise nahi ho Sakti tou tum Burayi ko Apne Bhale Sulook se Door kar Do, Phir kya Dekhoge ki Jis Shakhs aur Tumhare Beech Dushmani thi Unme aisa ho Jaayega jaise koi Pakke Dost hote hai." 📕 Quran 41:34 Iss Mudde per Quraan-e-Karim ki Rahnumaai Dil ko Badaa Sukoon deti hai, Rabb-e-Taala ne Burayi ko Khatm karne ki Iss Ayat me kya Khoob Taaleem di hai ki, Koi jab Humse buraa Sulook kare tou Hume uska badla bhale Sulook ki Shakl me dena chahiye Iss tarha se Ek Din wo bhi Humare Dost ho Jaaynge Jo aaj Humse Dushmani rakhte hain. Insha Allah !! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne se jyada Amal ki Toufiq de. Ameen, Summa Ameen https://ummat-e-nabi.com/bhalayi-aur-burayi-ek-jaise-nahi-ho-sakti/?feed_id=789&_unique_id

दीमक में अल्लाह की कुदरत

Image
दीमक में अल्लाह की कुदरत अल्लाह तआला ने बेशुमार मख्लूक़ पैदा फ़रमाई है। उन में एक अजीब नाबीना मख्लूख “दीमक” भी है। वह नाबीना होने के बावजूद सर्दी और बारिश से बचने के लिये शानदार और मजबूत टावर नुमा घर बनाती है। जिस की ऊँचाई उन की जसामत से हजारों गुना ज्यादा होती है। उन घरों के बनाने में वह मिट्टी और अपने लुआब व फ़ज्ला का इस्तेमाल करती हैं। उन के घरों में बेशुमार खाने होते हैं। जिन में भूल भूलय्याँ , छोटी छोटी नहरों के रास्ते और हवा के गुजरने का इन्तज़ाम होता है। आखिर बीनाई से महरूम दीमक को टावर नुमा और शानदार घर बनाने की सलाहियत किसने अता फ़रमाई ? यक़ीनन यह अल्लाह ही की कारीगरी और उसी की कुदरत का करिश्मा है। Read More: https://ummat-e-nabi.com/hi/dimaq-me-allah-ki-qudrat/

Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur Roza Sehwat ko kum karta hai

Image
Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya - " Aye Jawaano Jo Tum me se Aurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare , Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat karata hai Aur jo iski taaqat na rakhe tou woh Roza rakhe kyunki ye Sehwat (Wasna/Sex) ko kum karta hai. " 📕 Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 52 , 📕 Tirmizi Sharif, Jild 1, Safa 533 https://ummat-e-nabi.com/nikaah-nigah-ko-zukata-hai/?feed_id=687&_unique_id=66601a99a6ca8

Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein

Image
Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Quran ki Roshni mein Al-Quran: ♥ Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. – Surat Al-Mujadila 58:11 Ahadith Ki Roshni Mein RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: ♥ Ilm Haasil Karna har Musalmaan par Farz hai. – (Miskat P:24) ♥ Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai. – (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai. – (K.Ummal) ♥ Raat Me Ek Pal (Ghadi) ke liye Ilm Padhna Padhaana Raat bhar ki Ibadat se behtar hai. – (Darami, Mishkat Sharif, Anwarul Hadis Page-58) ♥ Ilm Ki Majlish Me Haazir Hona 1000 Nafil Padhne Se Afzal Hai. – (Tafseer Roo’hul Bayaan, J#10, P#221) ♥ Behtareen Sadqa Yeh Hai Ki Musalman Aadmi Ilm Haasil Kare, Phir Apne Musalman Bhai Ko Sikhaaye. – (Ibn-e-Majah J:1 S:158 H:243) ♥ Ilm Ki Talab Me Jis Ke Qadam

Gibat Karne ka Gunah aur Azab

Image
Gibat Karne ka Gunah aur Azab Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaaya: “Jab Mujhe Meraj Karaayi gayi tou Mera Guzar ek aisi Qaum par hua Jin ke Naakhoon Taambey (Nails of Copper) ke they Jo apne Chehron aur Seenon (faces & chests) ko Chhil (Scratch) rahey they." Maine Poocha : Aye Jibreel ! Yeh kaun hain ? Unho ne kaha : "Yeh Woh hai Jo Doosrey Logon ka Gosht khaatey (Yaani Gheebat/Back Biting) aur unki izzaton se kheltey hain.” 📕 Sunan Abu Daawood, Hadees 4878-Sahih # Sabaq: Musalmaan ki Gheebat karna yaa Choti Satah (level) ke Musalmano ki izzat wa Tauqeer (Sammaan) ko Malhooz (Dhyaan) naa rakhna, sakht Khatarnaak hai. https://ummat-e-nabi.com/gibat-karne-ka-gunah-aur-azab/?feed_id=644&_unique_id=66600e2ace446

Mutakabbir ka Anjam | Ghamand karne wale ko Qayamat me Azab

Image
Mutakabbir ka Anjam Ghamand karne wale ko Qayamat me Azab Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmya "Qayamat ke din Mutakabbir (Ghamand karne wale) logo ko maidan e mahshar mein choti choti chiteeyon ki manind logo ki surton mai laya jayega innhen har jagah zillat dhanpe rehegi, Phir wo Jahannam ke ek aise Qaidkhane ki taraf hanke jayenge jiska naam Bulas hai, usme innhen Bhadakti huyee Aag ubalegi, Wo usme jahannamiyo ke zakhmo ke peep peeyenge jisko teenat Al Khabal kahte hain, yaani sadi hui badbudar kichad." 📕 Jamia Tirmizi, Jild 2, Hadees 381-Hasan Allah Rabbul izzat hume Taqabbur se bachaye, Ameen Allahumma Ameen https://ummat-e-nabi.com/mutakabbir-ghamand-karne-wale-logo-ko-hone-wala-azab/?feed_id=624&_unique_id=66600b2654b66

Ilm ki Talash me rehne wale ki Fazilat | Puraane Gunaaho ki Maghfirat

Image
Ilm ki Talash me rehne wale ki fazilat Puraane Gunaaho ki Maghfirat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke - "Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi” 📕 Miraatul Manahij, Jild 1, Safa 203 Wajahat : Taalib-e-Ilm se Sagira Gunaah Muaf hote jate hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat se Lihaza Iska Matlab Yeh Nahi ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah kare. Balki Matlab yeh hai ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair se Ilm ki Talab karne walo ko Gunaaho se Bachney aur Gujasta Gunaahao ka Kaffara Ada Karne ki Toufiq deta hai. SubhanAllah https://ummat-e-nabi.com/ilm-ki-talash-me-rehne-wale-ki-fazilat/?feed_id=604&_unique_id=665fff34133ce

Jo log Allah ke liye Aapas me Mohabbat rakhte hain

Image
Allah ke liye Aapas me Mohabbat karne walo ka inaam Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ke, Allah Ta'ala irshaad farmata hai: "Jo log meri Azmat aur Jalaal ki wajeh se Aapas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke Meember honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi Rashk karenge." 📕 Jame Tirmizi, Hadees: 2390 ♥ SubhanAllah! Allah Rabbul Izzat hume kehne sun'ne se Jyada amal ki Taufik dey.. Ameen, ya Rabbul Aalameen. https://ummat-e-nabi.com/jo-log-allah-ke-liye-apas-me-mohabbat-rakhte-hain/?feed_id=584&_unique_id=665ffa396ac2b

Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein

Image
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein Kuch Aisi Rasam’en bhi Musalman me Raaij hai ke Bewah Aurat ka Nikah ko Bura aur aar Samjhte hai, Balke Isko Aib Samajhne me Kufr ka khauf hai, Kyunke Shariyat ke kisi Hukm ko Aib Samajhna aur Iske karne waale ko Zaleel Jan'na Kufr hai. Allah Ta'ala ne Quraan me Irshaad farmaya hai : Al-QURAN "Aur Nikah kardo Apno me Inn ka Jo Benikah ho aur Apne Layaq Ghulamao aur Kaneezao ka." 📕 Surah Al-Noor 24:32 Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - "Yaani Meri Ummat me Fasaad Phail Jane ke Waqt jo Shakhs Musibat ke Waqt meri Sunnat par Amal kare Isko 100 Shaheedo ka Sawaab milega." 📕 Mishkaat Jild 1, Safa 30 Asah’al’matabeh, Jannati Zewar 304, 305 Allah Taala hume kehne sunne se jyada Amal ki taufiq de. Ameen Ya Rabbul Aalmeen. https://ummat-e-nabi.com/bewah-aurato-ka-nikah/?feed_id=563&_unique_id=665ff6858af

Kaafir ya Mushrik se Nikah karna kaisa ?

Image
Kaafir ya Mushrik se Nikah karna kaisa ? Allah Raabul Izzat Qurane Kareem me farmata hai: "Aur tum Shirk karne wali aurton se us waqt tak Nikah na karo jab tak ke wo imaan na laaye, imaan wali laundi(Slave) bhi shirk karne wali azaad aurat se behtar hai, chahe wo tumhe acchi hi lagti ho, Aur Shirk karne wale mardon ke Nikah me apni aurton ko na do jab tak ke wo imaan na laye, imaan wala Gulaam, Azaad Mushrik se behtar hai, chahe tumhe mushrik hi acha lage, Yeh Jahannam ki taraf bulate hai aur Allah Rabbul Aalameen Jannat ki taraf, aur apni bakshish ki taraf apne hukm se bulata hai." 📕 Surah Baqrah 2:221 Meaning of the Arabic Word Kafir: Nonbeliever Mushrik: who practising idol worship https://ummat-e-nabi.com/kaafir-ya-mushrik-mardaurat-se-nikah-karna-kaisa-hai/?feed_id=542&_unique_id=665ff2f44f00b

रेशम के कीड़े में अल्लाह की क़ुदरत

Image
रेशम के कीड़े में अल्लाह की क़ुदरत अल्लाह तआला ने एक खास किस्म की तितली पैदा फ़रमाई है, उस के अंडों से रेशम के कीड़े निकलते हैं। यह दरख्तों के हरे भरे पत्तों को खाते रहते हैं और उन के मुंह से रेशम का बारीक और कीमती तार निकलता रहता है जिसे वह अपने बदन पर लपेटते रहते हैं। फिर उसके तार को गर्म पानी में डालते हैं और उसके रेशों से धागा तय्यार करके रेशम के कीमती कपड़े तय्यार करते हैं, जो बाजार में भारी कीमत में बिकते हैं। आखिर इस नन्हे से कीड़े को उम्दा रेशम तय्यार करने की सलाहियत किसने अता फर्माई। यक़ीनन यह अल्लाह ही की कुदरत है। More: > https://ummat-e-nabi.com/hi/resham-ka-kida/

चुम्बक (Magnet) में अल्लाह की क़ुदरत

Image
चुम्बक (Magnet) में अल्लाह की क़ुदरत अल्लाह तआला ने जमीन के अन्दर किस्म किस्म की धात रखी है, उस में से एक धात चुम्बक है, जो लोहे की एक किस्म है, यह लोहे को अपनी तरफ़ खींचता है और लोहे से चिपक जाता है और लोहे के अलावा किसी दूसरी चीज़ से नहीं चिपकता, अगर उस के सामने लकडी पत्थर वगैरा रखे जाएं, तो उससे नहीं चिपकता। जरा गौर कीजिए, के जमीन से निकली हुई मामूली सी धात में ऐसी ताकत किस ने रखी है यकीनन यह अल्लाह तआला की कुदरत है, जिस चीज में जैसा चाहता है वैसी खासियत रखता है। Read More > https://ummat-e-nabi.com/hi/chumbak-magnet-me-allah-ki-qudrat/

च्यूँटी अल्लाह की कुदरत का नमूना है

Image
च्यूँटी अल्लाह की कुदरत का नमूना है च्यूँटी भी अल्लाह की अजीब मखलूक है। इतने छोटे से जान्वर में अल्लाह तआला ने आँख नाक कान दिल व दिमाग हाथ पैर कितनी कारीगरी से बनाए। फिर इन को सोचने, समझने और सूंघने की बेपनाह सलाहियतों से नवाज़ा। वह एक मील की दूरी से मीठी चीज़ों का सूंघ कर पता लगा लेती है। च्यंटियों की सरदार को जब कोई चीज़ मिलती है, तो वह अपने मातहत तमाम च्यंटियो को .... Read more > https://ummat-e-nabi.com/hi/chunti-allah-ki-qudrat-ka-namuna/

Sooraj me Allah ki Qudrat | सूरज, अल्लाह की निशानी

Image
Sooraj me Allah ki Qudrat | सूरज, अल्लाह की निशानी अल्लाह तआला ने इन्सानों की पैदाइश से हज़ारों साल पहेले फ़रिश्तों के ज़रिए बैतुल्लाह (खाना-ऐ-काबा) तामीर कराई, यह रूए ज़मीन पर पहेला बाबरकत घर और दुनिया वालों के लिए अमन व सुकून की जगह है, फिर हज़रत आदम अलैहि सलाम ने दुनिया में आने के बाद बैतुल्लाह की तामीर फ़रमाई, बाज़ रिवायतों के मुताबिक तूफाने नूह (अ०) के मौके पर अल्लाह तआला ने हिफाज़त के लिए इस घर को आस्मान पर .... Read more > https://ummat-e-nabi.com/hi/baitulah-ki-tameer/